Sochta hoon keh usay neend bhi aati hogi Ya meri terha faqat ashq bahati hogi Wo meri shakal mera naam bhulanay wali Apni tasweer se kya aankh milati hogi Is zameen per bhi hai sailaab mere ashkoon se Mere matam ki sada arsh hilati hogi Sham hotay hee wo chokhat pe jala ker shamein Apni palkon pe kayi khaab sulati hogi Us ne silwa bhi liye hongay siyah libaas Ab ram janne ki terha dewali manati hogi Hoti hogi mere bosay ki talab mey pagal Jab bhi zulfon mey koi phool sajati hogi Mere tareek zamanon se nikalnay wali Roshni tujh ko meri yaad dilate hogi Dil ki masoom ragein khud hee sulagti honngi Jonhi tasweer ka kona wo jalati hogi Roop de ker mujhe us mey kisi shahzaday ka Apnay buchon ko kahani wo sunati hogi Ramu Garg sirf-tum
| | | | | | | | | | ||||||||||
| | | | | | | | | | ||||||||||
| | | | | | | | | | ||||||||||
| | | | | | | | | |
< 123451012 >
--
Farzana Khalid
Change settings via the Web (Yahoo! ID required)
Change settings via email: Switch delivery to Daily Digest | Switch format to Traditional
Visit Your Group | Yahoo! Groups Terms of Use | Unsubscribe
__,_._,___
No comments:
Post a Comment